Thursday, March 29, 2012

Mujhe haq hai

Jiyuun ek azaad panchi jaisi.
Na ho meri saanso pe kisi ki pabandi.
Kyunki azaadi meri haq hai.

Sapne dekhna hi nahi… use sakaar karna mera lakshya hai.
Jab chal padi hoon mein sakaar karne ke rastey pe,
Tab har haar ko jeet na mera haq hai!


Parivaar mein khushihaali phelaana
Aur pyaar se sab ko seech ke rakhna mera dharm hai.
Lekin inn sab ke beech apne swaabhimaan ki raksha karna bhi mera haq hai.

Meri har saans pe, har dhadkan pe, har uthte huye kadam pe aur meri har soch pe
Sab se pehle mera haq hai.
Mein hoon zindagi ek aurut ki
Aur zindagi ko har pal jeene ka haq hai!